ye kaun hai jo khwaab mein mujhe sikha rahi ghazal
mujhe nahin pata kahaan kahaan se aa rahi ghazal
jafaa samette hue main jab kabhi bikhar gaya
to harf harf jodkar mujhe bana rahi ghazal
suno tumhaari baaton mein nasha nasha sa lag raha
tumhaare in labon pe jaise muskuraa rahi ghazal
kahaan chali mataa-e-jaan ki ruk zara sa sabr kar
ye teri khoobiyaan hi to tujhe bata rahi ghazal
ye pehle ham hi shaayaron ke raaston pe chal padi
par ab ye apni raah khud hamein chala rahi ghazal
zabaan ki jahaan mein ye rekhta sitaare hain
phir in sitaaron ke jahaan mein jagmaga rahi ghazal
badi hi pur kashish sada ravaan hai usse jaa-bajaa
ki lahja-e-shagaf mein jab vo gunguna rahi ghazal
ये कौन है जो ख़्वाब में मुझे सिखा रही ग़ज़ल
मुझे नहीं पता कहाँ कहाँ से आ रही ग़ज़ल
जफ़ा समेटते हुए मैं जब कभी बिखर गया
तो हर्फ़ हर्फ़ जोड़कर मुझे बना रही ग़ज़ल
सुनो तुम्हारी बातों में नशा नशा सा लग रहा
तुम्हारे इन लबों पे जैसे मुस्कुरा रही ग़ज़ल
कहाँ चली मता-ए-जाँ कि रुक ज़रा सा सब्र कर
ये तेरी ख़ूबियाँ ही तो तुझे बता रही ग़ज़ल
ये पहले हम ही शायरों के रास्तों पे चल पड़ी
पर अब ये अपनी राह ख़ुद हमें चला रही ग़ज़ल
ज़बान की जहान में ये रेख़्ता सितारे हैं
फिर इन सितारों के जहाँ में जगमगा रही ग़ज़ल
बड़ी ही पुर कशिश सदा रवाँ है उससे जा-बजा
कि "लहजा-ए-शगफ़" में जब वो गुनगुना रही ग़ज़ल
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Adnan Ali SHAGAF
our suggestion based on Adnan Ali SHAGAF
As you were reading Jafa Shayari Shayari