yaar bhi raah ki deewaar samjhte hain mujhe | यार भी राह की दीवार समझते हैं मुझे - Shahid Zaqi

yaar bhi raah ki deewaar samjhte hain mujhe
main samajhta tha mere yaar samjhte hain mujhe

jad ukhadne se jhukaav hai meri shaakhon mein
door se log samar-baar samjhte hain mujhe

kya khabar kal yahi taaboot mera ban jaaye
aap jis takht ka haqdaar samjhte hain mujhe

nek logon mein mujhe nek gina jaata hai
aur gunahgaar gunahgaar samjhte hain mujhe

main to khud bikne ko bazaar mein aaya hua hoon
aur dukaan-daar khareedaar samjhte hain mujhe

main badalte hue haalaat mein dhal jaata hoon
dekhne waale adakaar samjhte hain mujhe

vo jo us paar hain is paar mujhe jaante hain
ye jo is paar hain us paar samjhte hain mujhe

main to yun chup hoon ki andar se bahut khaali hoon
aur ye log pur-asraar samjhte hain mujhe

raushni baantaa hoon sarhadon ke paar bhi main
ham-watan is liye gaddaar samjhte hain mujhe

jurm ye hai ki in andhon mein hoon aankhon waala
aur saza ye hai ki sardaar samjhte hain mujhe

laash ki tarah sar-e-aab hoon main aur shaahid
doobne waale madad-gaar samjhte hain mujhe

यार भी राह की दीवार समझते हैं मुझे
मैं समझता था मिरे यार समझते हैं मुझे

जड़ उखड़ने से झुकाव है मिरी शाख़ों में
दूर से लोग समर-बार समझते हैं मुझे

क्या ख़बर कल यही ताबूत मिरा बन जाए
आप जिस तख़्त का हक़दार समझते हैं मुझे

नेक लोगों में मुझे नेक गिना जाता है
और गुनहगार गुनहगार समझते हैं मुझे

मैं तो ख़ुद बिकने को बाज़ार में आया हुआ हूँ
और दुकाँ-दार ख़रीदार समझते हैं मुझे

मैं बदलते हुए हालात में ढल जाता हूँ
देखने वाले अदाकार समझते हैं मुझे

वो जो उस पार हैं इस पार मुझे जानते हैं
ये जो इस पार हैं उस पार समझते हैं मुझे

मैं तो यूँ चुप हूँ कि अंदर से बहुत ख़ाली हूँ
और ये लोग पुर-असरार समझते हैं मुझे

रौशनी बाँटता हूँ सरहदों के पार भी मैं
हम-वतन इस लिए ग़द्दार समझते हैं मुझे

जुर्म ये है कि इन अंधों में हूँ आँखों वाला
और सज़ा ये है कि सरदार समझते हैं मुझे

लाश की तरह सर-ए-आब हूँ मैं और 'शाहिद'
डूबने वाले मदद-गार समझते हैं मुझे

- Shahid Zaqi
7 Likes

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shahid Zaqi

As you were reading Shayari by Shahid Zaqi

Similar Writers

our suggestion based on Shahid Zaqi

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari