zar-e-sarishk fazaa mein uchaalta hua main | ज़र-ए-सरिश्क फ़ज़ा में उछालता हुआ मैं

  - Shahid Zaki

zar-e-sarishk fazaa mein uchaalta hua main
bikhar chala hoon khushi ko sambhaalta hua main

abhi to pehle paron ka bhi qarz hai mujh par
jhijak raha hoon naye par nikaalta hua main

kisi jazeera-e-pur-amn ki talash mein hoon
khud apni raakh samundar mein daalta hua main

falon ke saath kahi ghonsle na gir jaayen
khayal rakhta hoon patthar uchaalta hua main

ye kis bulandi pe la kar khada kiya hai mujhe
ki thak gaya hoon tawazun sambhaalta hua main

vo aag phaili to sab kuchh siyaah raakh hua
ki so gaya tha badan ko ujaalata hua main

bichhad gaya hoon khud apne maqaam se shaahid
bhatkne waalon ko raaste pe daalta hua main

ज़र-ए-सरिश्क फ़ज़ा में उछालता हुआ मैं
बिखर चला हूँ ख़ुशी को सँभालता हुआ मैं

अभी तो पहले परों का भी क़र्ज़ है मुझ पर
झिजक रहा हूँ नए पर निकालता हुआ मैं

किसी जज़ीरा-ए-पुर-अम्न की तलाश में हूँ
ख़ुद अपनी राख समुंदर में डालता हुआ मैं

फलों के साथ कहीं घोंसले न गिर जाएँ
ख़याल रखता हूँ पत्थर उछालता हुआ मैं

ये किस बुलंदी पे ला कर खड़ा किया है मुझे
कि थक गया हूँ तवाज़ुन सँभालता हुआ मैं

वो आग फैली तो सब कुछ सियाह राख हुआ
कि सो गया था बदन को उजालता हुआ मैं

बिछड़ गया हूँ ख़ुद अपने मक़ाम से 'शाहिद'
भटकने वालों को रस्ते पे डालता हुआ मैं

  - Shahid Zaki

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shahid Zaki

As you were reading Shayari by Shahid Zaki

Similar Writers

our suggestion based on Shahid Zaki

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari