kya kahoon kaise iztiraar mein hoon | क्या कहूँ कैसे इज़्तिरार में हूँ

  - Shahid Zaki

kya kahoon kaise iztiraar mein hoon
main dhuaan ho ke bhi hisaar mein hoon

ab mujhe bolna nahin padta
ab main har shakhs ki pukaar mein hoon

jis ke aage hai aaina deewaar
main bhi kirnon ki us qataar mein hoon

aahaton ka asar nahin mujh par
jaane main kis ke intizaar mein hoon

parda-poshi tiri mujhi se hai
tere aanchal ke taar taar mein hoon

tang lagti hai ab vo aankh mujhe
dafn jaise kisi mazaar mein hoon

mujhe mein ik zalzala sa hai shaahid
main kai din se intishaar mein hoon

क्या कहूँ कैसे इज़्तिरार में हूँ
मैं धुआँ हो के भी हिसार में हूँ

अब मुझे बोलना नहीं पड़ता
अब मैं हर शख़्स की पुकार में हूँ

जिस के आगे है आईना दीवार
मैं भी किरनों की उस क़तार में हूँ

आहटों का असर नहीं मुझ पर
जाने मैं किस के इंतिज़ार में हूँ

पर्दा-पोशी तिरी मुझी से है
तेरे आँचल के तार तार में हूँ

तंग लगती है अब वो आँख मुझे
दफ़्न जैसे किसी मज़ार में हूँ

मुझे में इक ज़लज़ला सा है 'शाहिद'
मैं कई दिन से इंतिशार में हूँ

  - Shahid Zaki

Qabr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shahid Zaki

As you were reading Shayari by Shahid Zaki

Similar Writers

our suggestion based on Shahid Zaki

Similar Moods

As you were reading Qabr Shayari Shayari