zanjeer kat ke kya giri aadhe safar ke beech | ज़ंजीर कट के क्या गिरी आधे सफ़र के बीच

  - Shahid Zaki

zanjeer kat ke kya giri aadhe safar ke beech
main sar pakad ke baith gaya raahguzaar ke beech

utara lahd mein khwahishon ke saath aadmi
jaise musaafiron-bhari naav bhanwar ke beech

dushman se kya bachaayengi ye jhaadiyaan mujhe
bachte nahin yahan to payambar shajar ke beech

jitna uda main utna uljhta chala gaya
ik taar-e-kam-numa tha mere baal-o-par ke beech

dete ho dastaken yahan sar fodte ho waan
kuchh farq to rawa rakho deewar-o-dar ke beech

ghar se chala to ghar ki udaasi sisak uthi
main ne use bhi rakh liya rakht-e-safar ke beech

thakne ke ham nahin the magar ab ke yun hua
deta raha fareb sitaara safar ke beech

mera sabhi ke saath ravayya hai ek sa
shaahid mujhe tameez nahin khair o shar ke beech

ज़ंजीर कट के क्या गिरी आधे सफ़र के बीच
मैं सर पकड़ के बैठ गया रहगुज़र के बीच

उतरा लहद में ख़्वाहिशों के साथ आदमी
जैसे मुसाफ़िरों-भरी नाव भँवर के बीच

दुश्मन से क्या बचाएँगी ये झाड़ियाँ मुझे
बचते नहीं यहाँ तो पयम्बर शजर के बीच

जितना उड़ा मैं उतना उलझता चला गया
इक तार-ए-कम-नुमा था मिरे बाल-ओ-पर के बीच

देते हो दस्तकें यहाँ सर फोड़ते हो वाँ
कुछ फ़र्क़ तो रवा रखो दीवार-ओ-दर के बीच

घर से चला तो घर की उदासी सिसक उठी
मैं ने उसे भी रख लिया रख़्त-ए-सफ़र के बीच

थकने के हम नहीं थे मगर अब के यूँ हुआ
देता रहा फ़रेब सितारा सफ़र के बीच

मेरा सभी के साथ रवय्या है एक सा
'शाहिद' मुझे तमीज़ नहीं ख़ैर ओ शर के बीच

  - Shahid Zaki

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shahid Zaki

As you were reading Shayari by Shahid Zaki

Similar Writers

our suggestion based on Shahid Zaki

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari