teri marzi ke khud-o-khaal mein dhalt hua main | तेरी मर्ज़ी के ख़द-ओ-ख़ाल में ढलता हुआ मैं

  - Shahid Zaki

teri marzi ke khud-o-khaal mein dhalt hua main
khaak se aab na ho jaaun pighlata hua main

ai khizaan main tujhe khush-rang bana saka tha
tujh se dekha na gaya phoolta-falta hua main

mujh ko maangi hui izzat nahin poori aati
toot jaaun na ye poshaak badalta hua main

shobda-gar nahin mehmaan-e-saf-e-yaaraan hoon
zahar peeta hua aur shahad ugalta hua main

yam-b-yam rooh machalti hui machhli ki tarah
dam-b-dam waqt ke haathon se fisalta hua main

ab meri raakh uda ya mujhe aankhon se laga
tujh talak aa gaya hoon aag pe chalta hua main

kah rahi hain mujhe vo hausla-afza aankhen
rooh tak jaaun khud-o-khaal maslata hua main

ho na ho ek hi tasveer ke do pahluu hain
raqs karta hua tu aag mein jalta hua main

kaar-e-darveshi jazaa-yaab hai lekin shaahid
khush nahin khalvat-e-khaali se bahalta hua main

तेरी मर्ज़ी के ख़द-ओ-ख़ाल में ढलता हुआ मैं
ख़ाक से आब न हो जाऊँ पिघलता हुआ मैं

ऐ ख़िज़ाँ मैं तुझे ख़ुश-रंग बना सकता था
तुझ से देखा न गया फूलता-फलता हुआ मैं

मुझ को माँगी हुई इज़्ज़त नहीं पूरी आती
टूट जाऊँ न ये पोशाक बदलता हुआ मैं

शोबदा-गर नहीं मेहमान-ए-सफ़-ए-याराँ हूँ
ज़हर पीता हुआ और शहद उगलता हुआ मैं

यम-ब-यम रूह मचलती हुई मछली की तरह
दम-ब-दम वक़्त के हाथों से फिसलता हुआ मैं

अब मिरी राख उड़ा या मुझे आँखों से लगा
तुझ तलक आ गया हूँ आग पे चलता हुआ मैं

कह रही हैं मुझे वो हौसला-अफ़्ज़ा आँखें
रूह तक जाऊँ ख़द-ओ-ख़ाल मसलता हुआ मैं

हो न हो एक ही तस्वीर के दो पहलू हैं
रक़्स करता हुआ तू आग में जलता हुआ मैं

कार-ए-दरवेशी जज़ा-याब है लेकिन 'शाहिद'
ख़ुश नहीं ख़ल्वत-ए-ख़ाली से बहलता हुआ मैं

  - Shahid Zaki

Jashn Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shahid Zaki

As you were reading Shayari by Shahid Zaki

Similar Writers

our suggestion based on Shahid Zaki

Similar Moods

As you were reading Jashn Shayari Shayari