mere khuda kisi soorat use mila mujh se | मिरे ख़ुदा किसी सूरत उसे मिला मुझ से

  - Shahid Zaki

mere khuda kisi soorat use mila mujh se
mere vujood ka hissa na rakh juda mujh se

vo na-samajh mujhe patthar samajh ke chhod gaya
vo chahta to sitaare taraashta mujh se

us ek khat ne sukhnavar bana diya mujh ko
vo ek khat ki jo likkha nahin gaya mujh se

use hi saath gawara na tha mera warna
kise majaal koi us ko cheenta mujh se

abhi visaal ke zakhamon se khoon rishta hai
abhi khafa hai mohabbat ka devta mujh se

hai aarzoo ki palat jaaun aasmaan ki taraf
mizaaj ahl-e-zameen ka nahin mila mujh se

khata ke b'ad ajab kashmakash rahi shaahid
khata se main raha sharminda aur khata mujh se

मिरे ख़ुदा किसी सूरत उसे मिला मुझ से
मिरे वजूद का हिस्सा न रख जुदा मुझ से

वो ना-समझ मुझे पत्थर समझ के छोड़ गया
वो चाहता तो सितारे तराशता मुझ से

उस एक ख़त ने सुखनवर बना दिया मुझ को
वो एक ख़त कि जो लिक्खा नहीं गया मुझ से

उसे ही साथ गवारा न था मिरा वर्ना
किसे मजाल कोई उस को छीनता मुझ से

अभी विसाल के ज़ख़्मों से ख़ून रिसता है
अभी ख़फ़ा है मोहब्बत का देवता मुझ से

है आरज़ू कि पलट जाऊँ आसमाँ की तरफ़
मिज़ाज अहल-ए-ज़मीं का नहीं मिला मुझ से

ख़ता के ब'अद अजब कश्मकश रही 'शाहिद'
ख़ता से मैं रहा शर्मिंदा और ख़ता मुझ से

  - Shahid Zaki

Aarzoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shahid Zaki

As you were reading Shayari by Shahid Zaki

Similar Writers

our suggestion based on Shahid Zaki

Similar Moods

As you were reading Aarzoo Shayari Shayari