charaagh khud hi bujhaaya bujha ke chhod diya | चराग़ ख़ुद ही बुझाया बुझा के छोड़ दिया

  - Shahzad Ahmad

charaagh khud hi bujhaaya bujha ke chhod diya
vo gair tha use apna bana ke chhod diya

hazaar chehre hain maujood aadmi ghaayab
ye kis kharaabe mein duniya ne la ke chhod diya

main apni jaan mein use jazb kis tarah karta
use gale se lagaaya laga ke chhod diya

main ja chuka hoon mere vaaste udaas na ho
main vo hoon tu ne jise muskuraa ke chhod diya

kisi ne ye na bataaya ki fasla kya hai
har ek ne mujhe rasta dikha ke chhod diya

hamaare dil mein hai kya jhaank kar na dekh sake
khud apni zaat se parda utha ke chhod diya

vo tera rog bhi hai aur tira ilaaj bhi hai
usi ko dhundh jise tang aa ke chhod diya

vo anjuman mein mila bhi to us ne baat na ki
kabhi kabhi koi jumla chhupa ke chhod diya

rakhoon kisi se tavakko to kya rakhoon shehzaad
khuda ne bhi to zameen par gira ke chhod diya

चराग़ ख़ुद ही बुझाया बुझा के छोड़ दिया
वो ग़ैर था उसे अपना बना के छोड़ दिया

हज़ार चेहरे हैं मौजूद आदमी ग़ायब
ये किस ख़राबे में दुनिया ने ला के छोड़ दिया

मैं अपनी जां में उसे जज़्ब किस तरह करता
उसे गले से लगाया लगा के छोड़ दिया

मैं जा चुका हूं मिरे वास्ते उदास न हो
मैं वो हूं तू ने जिसे मुस्कुरा के छोड़ दिया

किसी ने ये न बताया कि फ़ासला क्या है
हर एक ने मुझे रस्ता दिखा के छोड़ दिया

हमारे दिल में है क्या झाँक कर न देख सके
ख़ुद अपनी ज़ात से पर्दा उठा के छोड़ दिया

वो तेरा रोग भी है और तिरा इलाज भी है
उसी को ढूँड जिसे तंग आ के छोड़ दिया

वो अंजुमन में मिला भी तो उस ने बात न की
कभी कभी कोई जुमला छुपा के छोड़ दिया

रखूं किसी से तवक़्क़ो तो क्या रखूं 'शहज़ाद'
ख़ुदा ने भी तो ज़मीं पर गिरा के छोड़ दिया

  - Shahzad Ahmad

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shahzad Ahmad

As you were reading Shayari by Shahzad Ahmad

Similar Writers

our suggestion based on Shahzad Ahmad

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari