ajeeb manzar hai baarishon ka makaan paani mein bah raha hai | अजीब मंज़र है बारिशों का मकान पानी में बह रहा है

  - Shakeel Azmi

ajeeb manzar hai baarishon ka makaan paani mein bah raha hai
falak zameen ki hudoos mein hai nishaan paani mein bah raha hai

tamaam faslen ujad chuki hain na hal bacha hai na bail baaki
kisaan girvi rakha hua hai lagaan paani mein bah raha hai

azaab utara to paanv sab ke zameen ki satahon se aa lage hain
hawa ke ghar mein nahin hai koi machaan paani mein bah raha hai

koi kisi ko nahin bachaata sab apni khaatir hi tairte hain
ye din qayamat ka din ho jaise jahaan paani mein bah raha hai

udaas aankhon ke baadlon ne dilon ke gard-o-ghubaar dhoye
yaqeen patthar bana khada hai gumaan paani mein bah raha

अजीब मंज़र है बारिशों का मकान पानी में बह रहा है
फ़लक ज़मीं की हुदूद में है निशान पानी में बह रहा है

तमाम फ़सलें उजड़ चुकी हैं न हल बचा है न बैल बाक़ी
किसान गिरवी रखा हुआ है लगान पानी में बह रहा है

अज़ाब उतरा तो पाँव सब के ज़मीं की सतहों से आ लगे हैं
हवा के घर में नहीं है कोई मचान पानी में बह रहा है

कोई किसी को नहीं बचाता सब अपनी ख़ातिर ही तैरते हैं
ये दिन क़यामत का दिन हो जैसे जहान पानी में बह रहा है

उदास आँखों के बादलों ने दिलों के गर्द-ओ-ग़ुबार धोए
यक़ीन पत्थर बना खड़ा है गुमान पानी में बह रहा

  - Shakeel Azmi

Kisaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shakeel Azmi

As you were reading Shayari by Shakeel Azmi

Similar Writers

our suggestion based on Shakeel Azmi

Similar Moods

As you were reading Kisaan Shayari Shayari