ab to khushi ka gham hai na gham ki khushi mujhe | अब तो ख़ुशी का ग़म है न ग़म की ख़ुशी मुझे

  - Shakeel Badayuni

ab to khushi ka gham hai na gham ki khushi mujhe
be-his bana chuki hai bahut zindagi mujhe

vo waqt bhi khuda na dikhaaye kabhi mujhe
un ki nadaamaton pe ho sharmindagi mujhe

rone pe apne un ko bhi afsurda dekh kar
yun ban raha hoon jaise ab aayi hasi mujhe

yoondijie fareb-e-mohabbat ki umr bhar
main zindagi ko yaad karoon zindagi mujhe

rakhna hai tishna-kaam to saaqi bas ik nazar
sairaab kar na de meri tishna-labi mujhe

paaya hai sab ne dil magar is dil ke baawajood
ik shay mili hai dil mein khatkati hui mujhe

raazi hon ya khafa hon vo jo kuchh bhi hon shakeel
har haal mein qubool hai un ki khushi mujhe

अब तो ख़ुशी का ग़म है न ग़म की ख़ुशी मुझे
बे-हिस बना चुकी है बहुत ज़िंदगी मुझे

वो वक़्त भी ख़ुदा न दिखाए कभी मुझे
उन की नदामतों पे हो शर्मिंदगी मुझे

रोने पे अपने उन को भी अफ़्सुर्दा देख कर
यूँ बन रहा हूँ जैसे अब आई हँसी मुझे

यूंदीजिए फ़रेब-ए-मोहब्बत कि उम्र भर
मैं ज़िंदगी को याद करूँ ज़िंदगी मुझे

रखना है तिश्ना-काम तो साक़ी बस इक नज़र
सैराब कर न दे मिरी तिश्ना-लबी मुझे

पाया है सब ने दिल मगर इस दिल के बावजूद
इक शय मिली है दिल में खटकती हुई मुझे

राज़ी हों या ख़फ़ा हों वो जो कुछ भी हों 'शकील'
हर हाल में क़ुबूल है उन की ख़ुशी मुझे

  - Shakeel Badayuni

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shakeel Badayuni

As you were reading Shayari by Shakeel Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Shakeel Badayuni

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari