kahaani mein chhota sa kirdaar hai
hamaara magar ek mea'ar hai
khuda tujh ko sunne ki taufeeq de
meri khaamoshi mera izhaar hai
ye kaise ilaaqe mein ham aa base
gharo se nikalte hi bazaar hai
siyaasat ke chehre pe raunaq nahin
ye aurat hamesha ki beemaar hai
haqeeqat ka ik shaiba tak nahin
tumhaari kahaani mazedaar hai
ta'alluq ki tajheez-o-takfeen kar
vo daaman chhudaane ko taiyyaar hai
padosi padosi se hai be-khabar
magar sab ke haathon mein akhbaar hai
ye chhutti ka din ham se mat cheenna
yahi ham ghareebon ka tyaohar hai
use mashwaron ki zaroorat nahin
vo tum se ziyaada samajhdaar hai
कहानी में छोटा सा किरदार है
हमारा मगर एक मेआ'र है
ख़ुदा तुझ को सुनने की तौफ़ीक़ दे
मिरी ख़ामुशी मेरा इज़हार है
ये कैसे इलाक़े में हम आ बसे
घरों से निकलते ही बाज़ार है
सियासत के चेहरे पे रौनक़ नहीं
ये औरत हमेशा की बीमार है
हक़ीक़त का इक शाइबा तक नहीं
तुम्हारी कहानी मज़ेदार है
तअ'ल्लुक़ की तजहीज़-ओ-तकफ़ीन कर
वो दामन छुड़ाने को तय्यार है
पड़ोसी पड़ोसी से है बे-ख़बर
मगर सब के हाथों में अख़बार है
ये छुट्टी का दिन हम से मत छीनना
यही हम ग़रीबों का त्यौहार है
उसे मश्वरों की ज़रूरत नहीं
वो तुम से ज़ियादा समझदार है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shakeel Jamali
our suggestion based on Shakeel Jamali
As you were reading Politics Shayari Shayari