safar se laut jaana chahta hai
parinda aashiyana chahta hai
koi school ki ghanti baja de
ye baccha muskurana chahta hai
use rishte thama deti hai duniya
jo do paise kamaana chahta hai
yahan saanson ke laale pad rahe hain
vo paagal zahar khaana chahta hai
jise bhi doobna ho doob jaaye
samundar sookh jaana chahta hai
hamaara haq daba rakha hai jis ne
suna hai haj ko jaana chahta hai
सफ़र से लौट जाना चाहता है
परिंदा आशियाना चाहता है
कोई स्कूल की घंटी बजा दे
ये बच्चा मुस्कुराना चाहता है
उसे रिश्ते थमा देती है दुनिया
जो दो पैसे कमाना चाहता है
यहाँ साँसों के लाले पड़ रहे हैं
वो पागल ज़हर खाना चाहता है
जिसे भी डूबना हो डूब जाए
समुंदर सूख जाना चाहता है
हमारा हक़ दबा रक्खा है जिस ने
सुना है हज को जाना चाहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shakeel Jamali
our suggestion based on Shakeel Jamali
As you were reading Kashti Shayari Shayari