jab na aayein nazar hazaaron mein
dhoondh lena hamein sitaaron mein
khair tum ne bhi dil dukha hi diya
tum ko rakha tha ghama-gusaaroń mein
teri tasveer ghark hoti hai
roz aankhon ke aabshaaron mein
naa-khuda badh chalo bhanwar ki samt
kya hi rakha hai in kinaaron mein
inki aankhon mein gaur se dekho
kitni ujlat hai be-sahaaron mein
baad muddat ke baam par aakar
kho gaye aaj chaand taaron mein
aaj to andaleeb apna bhi
dil nahin lag raha bahaaron mein
जब न आएँ नज़र हज़ारों में
ढूँढ लेना हमें सितारों में
ख़ैर तुम ने भी दिल दुखा ही दिया
तुम को रक्खा था ग़म-गुसारों में
तेरी तस्वीर ग़र्क़ होती है
रोज़ आँखों के आबशारों में
ना-ख़ुदा बढ़ चलो भँवर की सम्त
क्या ही रक्खा है इन किनारों में
इनकी आँखों में गौर से देखो
कितनी उजलत है बे-सहारों में
बाद मुद्दत के बाम पर आकर
खो गए आज चाँद तारों में
आज तो अंदलीब अपना भी
दिल नहीं लग रहा बहारों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by shampa andaliib
our suggestion based on shampa andaliib
As you were reading Chehra Shayari Shayari