kaisa junoon hai ye kahaan aa gai hoon main
vo raasta kahaan hai jidhar se chali hoon main
ab ye khuda hi jaane mujhe to khabar nahin
kya kho gaya hai mera kise dhoondhti hoon main
aasaar aa rahe hain nazar us ke aaj kal
jis haadse se aaj bhi sahmi dari hoon main
hairaan kar raha hai bura waqt aaj tak
jis se guzar gai hoon use dekhti hoon main
maalik mere mujhe koii ab raasta dikha
anjaane raaston pe bahut chal chuki hoon main
कैसा जुनून है ये कहाँ आ गई हूँ मैं
वो रास्ता कहाँ है जिधर से चली हूँ मैं
अब ये ख़ुदा ही जाने मुझे तो ख़बर नहीं
क्या खो गया है मेरा किसे ढूँढती हूँ मैं
आसार आ रहे हैं नज़र उस के आज कल
जिस हादसे से आज भी सहमी डरी हूँ मैं
हैरान कर रहा है बुरा वक़्त आज तक
जिस से गुज़र गई हूँ उसे देखती हूँ मैं
मालिक मिरे मुझे कोई अब रास्ता दिखा
अनजाने रास्तों पे बहुत चल चुकी हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by shampa andaliib
our suggestion based on shampa andaliib
As you were reading Waqt Shayari Shayari