koi taabeer kya nazar aaye
khwaab toote to nain bhar aaye
yun izaafa hua mere dukh mein
dukh ke maare bhi mere ghar aaye
tera matlab nikal gaya lekin
tere ilzaam mere sar aaye
itne dukh se bhari hai ye duniya
aankh khulte hi aankh bhar aaye
kab talak raah takta darwaaza
ham dariche pe deep dhar aaye
कोई ताबीर क्या नज़र आए
ख़्वाब टूटे तो नैन भर आए
यूँ इज़ाफ़ा हुआ मेरे दुख में
दुख के मारे भी मेरे घर आए
तेरा मतलब निकल गया लेकिन
तेरे इल्ज़ाम मेरे सर आए
इतने दुख से भरी है ये दुनिया
आँख खुलते ही आँख भर आए
कब तलक राह तकता दरवाज़ा
हम दरीचे पे दीप धर आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by shampa andaliib
our suggestion based on shampa andaliib
As you were reading Nigaah Shayari Shayari