ye duniya matlabi hai koii bhi apna nahin baabul | ये दुनिया मतलबी है कोई भी अपना नहीं बाबुल - shampa andaliib

ye duniya matlabi hai koii bhi apna nahin baabul
jo achha door se hai paas se achha nahin baabul

tumhaare paas rahti thi bahut azaad rahti thi
guzishta waqt kyun waapas kabhi aata nahin baabul

main ab ke baar bhi har baar ke jaise gai thi ghar
achaanak aankh bhar aayi tumhein dekha nahin baabul

koii dukh dard se mere yahan waqif nahin hai ab
mere dil mein koii khwaahish koii sapna nahin baabul

bahut ummeed theen dil mein bahut sapne sanjoe the
achaanak sab fana hoga kabhi socha nahin baabul

ये दुनिया मतलबी है कोई भी अपना नहीं बाबुल
जो अच्छा दूर से है पास से अच्छा नहीं बाबुल

तुम्हारे पास रहती थी बहुत आज़ाद रहती थी
गुज़िश्ता वक़्त क्यूँ वापस कभी आता नहीं बाबुल

मैं अब के बार भी हर बार के जैसे गई थी घर
अचानक आँख भर आई तुम्हें देखा नहीं बाबुल

कोई दुख दर्द से मेरे यहाँ वाक़िफ़ नहीं है अब
मिरे दिल में कोई ख़्वाहिश कोई सपना नहीं बाबुल

बहुत उम्मीद थीं दिल में बहुत सपने संजोए थे
अचानक सब फ़ना होगा कभी सोचा नहीं बाबुल

- shampa andaliib
0 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by shampa andaliib

As you were reading Shayari by shampa andaliib

Similar Writers

our suggestion based on shampa andaliib

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari