main ne kamre mein teergi kar li | मैं ने कमरे में तीरगी कर ली - Sohil Barelvi

main ne kamre mein teergi kar li
aur khud se hi dosti kar li

gunguna kar meri ghazal us ne
apni aawaaz makhmali kar li

main ne haathon mein le liya deepak
aur apni hi rahbari kar li

mere jaise hain aaj bhi zinda
tere jaison ne khud-kushi kar li

raat jaane nahin diya main ne
qaid aankhon mein jal-paree kar li

ilm thoda mila riyaazat se
thodi yaaron se dosti kar li

dost ne doston se seekha aur
mujh akela se dushmani kar li

dukh ki taadaad jab badhi sohil
main ne thodi si shaayri kar li

मैं ने कमरे में तीरगी कर ली
और ख़ुद से ही दोस्ती कर ली

गुनगुना कर मेरी ग़ज़ल उस ने
अपनी आवाज़ मख़मली कर ली

मैं ने हाथों में ले लिया दीपक
और अपनी ही रहबरी कर ली

मेरे जैसे हैं आज भी ज़िंदा
तेरे जैसों ने ख़ुद-कुशी कर ली

रात जाने नहीं दिया मैं ने
क़ैद आँखों में जल-परी कर ली

इल्म थोड़ा मिला रियाज़त से
थोड़ी यारों से दोस्ती कर ली

दोस्त ने दोस्तों से सीखा और
मुझ अकेले से दुश्मनी कर ली

दुख की तादाद जब बढ़ी 'सोहिल'
मैं ने थोड़ी सी शाइरी कर ली

- Sohil Barelvi
0 Likes

Raqeeb Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sohil Barelvi

As you were reading Shayari by Sohil Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Sohil Barelvi

Similar Moods

As you were reading Raqeeb Shayari Shayari