thoda bahut mila to laga gham ajeeb hai
milta raha to kah diya ham-dam ajeeb hai
main hi sunoonga ya use sun paayega khuda
jo shor mere andaroon paiham ajeeb hai
mujh mein bana chuke hain kai raftagaan makaan
vo ghar jo aur ghar se to ik dam ajeeb hai
walid hamaare dost ke ye kah rahe the aaj
beta hamaara jaun se kuchh kam ajeeb hai
charagari bhi kar rahi ab masale khade
naasoor zakhm ho gaye marham ajeeb hai
pehle hi kho chuka hoon main apne azeez-tar
is par ye kaayenaat bhi barham ajeeb hai
main dab raha hoon ishq mein ahsaan tale tere
mujh par jo gir rahi hai vo shabnam ajeeb hai
थोड़ा बहुत मिला तो लगा ग़म अजीब है
मिलता रहा तो कह दिया हम-दम अजीब है
मैं ही सुनूँगा या उसे सुन पाएगा ख़ुदा
जो शोर मेरे अंदरूँ पैहम अजीब है
मुझ में बना चुके हैं कई रफ़्तगाँ मकान
वो घर जो और घर से तो इक दम अजीब है
वालिद हमारे दोस्त के ये कह रहे थे आज
बेटा हमारा जौन से कुछ कम अजीब है
चारागरी भी कर रही अब मसअले खड़े
नासूर ज़ख़्म हो गए मरहम अजीब है
पहले ही खो चुका हूँ मैं अपने अज़ीज़-तर
इस पर ये काएनात भी बरहम अजीब है
मैं दब रहा हूँ इश्क़ में अहसाँ तले तेरे
मुझ पर जो गिर रही है वो शबनम अजीब है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Zakhm Shayari Shayari