jang mein kaam alam-daar nahin aa sakte | जंग में काम अलम-दार नहीं आ सकते

  - Srishti Alok

jang mein kaam alam-daar nahin aa sakte
phir bhi in haathon mein hathiyaar nahin aa sakte

kam zameenon pe chala hoon main faqeeron kii tarah
mere raston pe zameen-daar nahin aa sakte

aap ke aane kii khabron pe yaqeen kaise karoon
subah ko gaav mein akhbaar nahin aa sakte

bas ye paigaam hai tazeen-e-dar-o-baam-e-haram
ghair-mazhab ke parastaar nahin aa sakte

ban ke maareech pukaaro ho magar raam qasam
aise dhoke mein samajhdaar nahin aa sakte

main zaroorat mein akela tha lihaaza khuddaar
mujh ko paane mere haqdaar nahin aa sakte

जंग में काम अलम-दार नहीं आ सकते
फिर भी इन हाथों में हथियार नहीं आ सकते

कम ज़मीनों पे चला हूँ मैं फ़क़ीरों की तरह
मेरे रस्तों पे ज़मीं-दार नहीं आ सकते

आप के आने की ख़बरों पे यक़ीं कैसे करूँ
सुब्ह को गाँव में अख़बार नहीं आ सकते

बस ये पैग़ाम है तज़ईन-ए-दर-ओ-बाम-ए-हरम
ग़ैर-मज़हब के परस्तार नहीं आ सकते

बन के मारीच पुकारो हो मगर राम क़सम
ऐसे धोके में समझदार नहीं आ सकते

मैं ज़रूरत में अकेला था लिहाज़ा 'आलोक'
मुझ को पाने मिरे हक़दार नहीं आ सकते

  - Srishti Alok

More by Srishti Alok

As you were reading Shayari by Srishti Alok

Similar Writers

our suggestion based on Srishti Alok

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari