kuchh aur ishq karne hain haajat-ravaai ko | कुछ और इश्क़ करने हैं हाजत-रवाई को

  - Srishti Alok

kuchh aur ishq karne hain haajat-ravaai ko
kuchh roz ho gaye hain kiye be-wafai ko

karte na qat'a ham ye muqaddam to aur kaun
aage khada hua tha teri reh-numaai ko

le kar marz ye aap bhi masjid mein jaaie
aaraam kuchh dava se nahin paar-saai ko

hoga na mujh se ishq dobaara kisi tarah
karte rahe jo yaad meri kaj-adaai ko

jo teesra hai fard masaail ka hai sabab
sher-o-sukhan se kaam nahin do-tihai ko

jis haal mein hain aaj vo afsos-naak hai
karte hain khoob yaad magar ibtidaai ko

hanste the jo sukhun p ye khuddaar hain wahi
ab dekhte hain door se teri rasai ko

कुछ और इश्क़ करने हैं हाजत-रवाई को
कुछ रोज़ हो गए हैं किए बे-वफ़ाई को

करते न क़त्अ हम ये तअल्लुक़ तो और कौन
आगे खड़ा हुआ था तेरी रह-नुमाई को

ले कर मरज़ ये आप भी मस्जिद में जाइए
आराम कुछ दवा से नहीं पार-साई को

होगा न मुझ से इश्क़ दुबारा किसी तरह
करते रहे जो याद मिरी कज-अदाई को

जो तीसरा है फ़र्द मसाइल का है सबब
शेर-ओ-सुख़न से काम नहीं दो-तिहाई को

जिस हाल में हैं आज वो अफ़सोस-नाक है
करते हैं ख़ूब याद मगर इब्तिदाई को

हँसते थे जो सुख़न प ये 'आलोक' हैं वही
अब देखते हैं दूर से तेरी रसाई को

  - Srishti Alok

More by Srishti Alok

As you were reading Shayari by Srishti Alok

Similar Writers

our suggestion based on Srishti Alok

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari