main yun to khwaab ki taabeer sochta bhi nahin | मैं यूँ तो ख़्वाब की ताबीर सोचता भी नहीं - Subhan Asad

main yun to khwaab ki taabeer sochta bhi nahin
magar vo shakhs mere rat-jagon ka tha bhi nahin

mera naseeb vo samjha na baat ishaaron ki
mera mizaaj ki main saaf kah saka bhi nahin

badi giran hai meri jaan ye kaifiyat mat pooch
ki in labon pe gila bhi nahin dua bhi nahin

ye zindagi ke ta'aqub mein roz ka phirna
agarche is tarah jeene ka hausla bhi nahin

ye be-niyaaz tabeeyat ye be-khudi ke rang
hum apne aap se khush bhi nahin khafa bhi nahin

us ek shakl ko jis din se kho diya hai asad
mere dariche se ab chaand jhaankta bhi nahin

मैं यूँ तो ख़्वाब की ताबीर सोचता भी नहीं
मगर वो शख़्स मिरे रत-जगों का था भी नहीं

मेरा नसीब वो समझा न बात इशारों की
मेरा मिज़ाज कि मैं साफ़ कह सका भी नहीं

बड़ी गिराँ है मेरी जाँ ये कैफ़ियत मत पूछ
कि इन लबों पे गिला भी नहीं दुआ भी नहीं

ये ज़िंदगी के तआक़ुब में रोज़ का फिरना
अगरचे इस तरह जीने का हौसला भी नहीं

ये बे-नियाज़ तबीअत ये बे-ख़ुदी के रंग
हम अपने आप से ख़ुश भी नहीं ख़फ़ा भी नहीं

उस एक शक्ल को जिस दिन से खो दिया है 'असद'
मिरे दरीचे से अब चाँद झाँकता भी नहीं

- Subhan Asad
1 Like

Rang Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Subhan Asad

As you were reading Shayari by Subhan Asad

Similar Writers

our suggestion based on Subhan Asad

Similar Moods

As you were reading Rang Shayari Shayari