mili hai raahat hamein safar se
thakan to le kar chale the ghar se
abhi palak par palak na baithi
ye khwaab aane lage kidhar se
falak pe kuchh der chaand thehra
vidaa lete hue sehar se
taveel novel mein zindagi ke
tamaam qisse hain mukhtasar se
vo dekhte dekhte hi ik din
utar gaya tha meri nazar se
usi gali mein nahin gaye bas
guzar gaye ham idhar udhar se
guzar-basar ki hai koi soorat
ye sirf hogi guzar-basar se
dhuen se aatish jalegi aankhen
jale nahin ham is ek dar se
मिली है राहत हमें सफ़र से
थकन तो ले कर चले थे घर से
अभी पलक पर पलक न बैठी
ये ख़्वाब आने लगे किधर से
फ़लक पे कुछ देर चाँद ठहरा
विदाअ लेते हुए सहर से
तवील नॉवेल में ज़िंदगी के
तमाम क़िस्से हैं मुख़्तसर से
वो देखते देखते ही इक दिन
उतर गया था मिरी नज़र से
उसी गली में नहीं गए बस
गुज़र गए हम इधर उधर से
गुज़र-बसर की है कोई सूरत?
ये सिर्फ़ होगी गुज़र-बसर से
धुएँ से 'आतिश' जलेंगी आँखें
जले नहीं हम इस एक डर से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Swapnil Tiwari
our suggestion based on Swapnil Tiwari
As you were reading Aawargi Shayari Shayari