us ke honton par sur mahka karte hain | उस के होंटों पर सुर महका करते हैं - Swapnil Tiwari

us ke honton par sur mahka karte hain
hum ab khushboo se tar soya karte hain

raushan rahte hain gham sath pe ashkon ki
ye patthar paani par taira karte hain

din bhar main in ki nigraani karta hoon
shab bhar mere sapne jaaga karte hain

aankhen dhote hain sone ke paani se
jaagte hi jo tum ko dekha karte hain

vo jo jhonke jaisa aata jaata hai
hum jo hawa ko choo kar bikhra karte hain

pandrah din ka ho kar marne lagta hai
kyun hum chaand ko paala posa karte hain

hum ko aansu hi milte hain seep mein bhi
vo ashkon mein moti roya karte hain

bosa lene mein kyun kat jaate hain hont
hum maanjhe daanton se kaata karte hain

akshar saansen rok ke sunta rehta hoon
us ke lams badan par dhadka karte hain

neend khule to us ko pahluu mein paaye
hum bhi kaise sapne dekha karte hain

saara gussa ab bas is kaam aata hai
hum is se cigarette sulagaaya karte hain

उस के होंटों पर सुर महका करते हैं
हम अब ख़ुश्बू से तर सोया करते हैं

रौशन रहते हैं ग़म सत्ह पे अश्कों की
ये पत्थर पानी पर तैरा करते हैं

दिन भर मैं इन की निगरानी करता हूँ
शब भर मेरे सपने जागा करते हैं

आँखें धोते हैं सोने के पानी से
जागते ही जो तुम को देखा करते हैं

वो जो झोंके जैसा आता जाता है
हम जो हवा को छू कर बिखरा करते हैं

पंद्रह दिन का हो कर मरने लगता है
क्यूँ हम चाँद को पाला पोसा करते हैं

हम को आँसू ही मिलते हैं सीप में भी
वो अश्कों में मोती रोया करते हैं

बोसा लेने में क्यूँ कट जाते हैं होंट
हम माँझे दाँतों से काटा करते हैं

अक्सर साँसें रोक के सुनता रहता हूँ
उस के लम्स बदन पर धड़का करते हैं

नींद खुले तो उस को पहलू में पाएँ
हम भी कैसे सपने देखा करते हैं

सारा ग़ुस्सा अब बस इस काम आता है
हम इस से सिगरेट सुलगाया करते हैं

- Swapnil Tiwari
0 Likes

Aansoo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Swapnil Tiwari

As you were reading Shayari by Swapnil Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Swapnil Tiwari

Similar Moods

As you were reading Aansoo Shayari Shayari