kisi ne bhi na meri theek tarjumaani ki
dhuaan dhuaan hai fazaa meri har kahaani ki
chalo nikaalo mere paanv mein chubha taara
zameen ki sath tumheen ne to aasmaani ki
gunaah-e-ishq kiya aur koi saza na hui
zaroor tum ne subooton se chhedkhwaani ki
tira khayal hua canvas pe mehmaan kal
tamaam rangon ne mil kar ke mezbaani ki
किसी ने भी न मेरी ठीक तर्जुमानी की
धुआँ धुआँ है फ़ज़ा मेरी हर कहानी की
चलो निकालो मिरे पाँव में चुभा तारा
ज़मीं की सत्ह तुम्हीं ने तो आसमानी की
गुनाह-ए-इश्क़ किया और कोई सज़ा न हुई
ज़रूर तुम ने सुबूतों से छेड़ख़्वानी की
तिरा ख़याल हुआ कैनवस पे मेहमाँ कल
तमाम रंगों ने मिल कर के मेज़बानी की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Swapnil Tiwari
our suggestion based on Swapnil Tiwari
As you were reading Khyaal Shayari Shayari