kahi kho na jaana zara door chal ke | कहीं खो न जाना ज़रा दूर चल के

  - Swapnil Tiwari

kahi kho na jaana zara door chal ke
musaafir tiri taak mein hain dhundlake

mera neend se aaj jhagda hua hai
so lete hain dono hi karvat badal ke

isee dar se chalta hai saahil kinaare
kahi gir na jaaye nadi mein fisal ke

ajab bojh palkon pe din bhar raha hai
agarche tire khwaab the halke halke

jataate rahe ham safar mein hain lekin
bhatkte rahe apne ghar se nikal ke

andhere mein mubham hua har nazaara
mili ek dooje mein har shay pighal ke

zamaane se saare sharar chun le aatish
yahi to anaasir hain teri ghazal ke

कहीं खो न जाना ज़रा दूर चल के
मुसाफ़िर तिरी ताक में हैं धुँदलके

मिरा नींद से आज झगड़ा हुआ है
सो लेते हैं दोनों ही करवट बदल के

इसी डर से चलता है साहिल किनारे
कहीं गिर न जाए नदी में फिसल के

अजब बोझ पलकों पे दिन भर रहा है
अगरचे तिरे ख़्वाब थे हल्के हल्के

जताते रहे हम सफ़र में हैं लेकिन
भटकते रहे अपने घर से निकल के

अँधेरे में मुबहम हुआ हर नज़ारा
मिली एक दूजे में हर शय पिघल के

ज़माने से सारे शरर चुन ले 'आतिश'
यही तो अनासिर हैं तेरी ग़ज़ल के

  - Swapnil Tiwari

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Swapnil Tiwari

As you were reading Shayari by Swapnil Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Swapnil Tiwari

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari