dil zabaan zehan mere aaj sanwarna chahein | दिल ज़बाँ ज़ेहन मिरे आज सँवरना चाहें

  - Swapnil Tiwari

dil zabaan zehan mere aaj sanwarna chahein
sab ke sab sirf tiri baat hi karna chahein

daagh hain ham tire daaman ke so ziddi bhi hain
ham koi rang nahin hain ki utarna chahein

aarzoo hai hamein sehra ki so hain bhi sairaab
khushk ho jaayen ham ik pal mein jo jharna chahein

ye badan hai tira ye aam sa rasta to nahin
is ke har mod pe ham sadiyon theharna chahein

ye sehar hai to bhala chahiye kis ko ye ki ham
shab ki deewaar se sar phod ke marna chahein

jaise soye hue paani mein utarta hai saanp
ham bhi chup-chaap tire dil mein utarna chahein

aam se shakhs ke lagte hain yun to tere paanv
saare dariya hi jinhen choo ke guzarna chahein

chahte hain ki kabhi zikr hamaara vo karein
ham bhi bahte hue paani pe theharna chahein

naam aaya hai tira jab se gunehgaaro mein
sab gawaah apni gawaahi se mukarna chahein

vasl aur hijr ke dariya mein wahi utren jo
is taraf doob ke us or ubharna chahein

koi aayega nahin tukde hamaare chunne
ham isee jism ke andar hi bikhrna chahein

दिल ज़बाँ ज़ेहन मिरे आज सँवरना चाहें
सब के सब सिर्फ़ तिरी बात ही करना चाहें

दाग़ हैं हम तिरे दामन के सो ज़िद्दी भी हैं
हम कोई रंग नहीं हैं कि उतरना चाहें

आरज़ू है हमें सहरा की सो हैं भी सैराब
ख़ुश्क हो जाएँ हम इक पल में जो झरना चाहें

ये बदन है तिरा ये आम सा रस्ता तो नहीं
इस के हर मोड़ पे हम सदियों ठहरना चाहें

ये सहर है तो भला चाहिए किस को ये कि हम
शब की दीवार से सर फोड़ के मरना चाहें

जैसे सोए हुए पानी में उतरता है साँप
हम भी चुप-चाप तिरे दिल में उतरना चाहें

आम से शख़्स के लगते हैं यूँ तो तेरे पाँव
सारे दरिया ही जिन्हें छू के गुज़रना चाहें

चाहते हैं कि कभी ज़िक्र हमारा वो करें
हम भी बहते हुए पानी पे ठहरना चाहें

नाम आया है तिरा जब से गुनहगारों में
सब गवाह अपनी गवाही से मुकरना चाहें

वस्ल और हिज्र के दरिया में वही उतरें जो
इस तरफ़ डूब के उस ओर उभरना चाहें

कोई आएगा नहीं टुकड़े हमारे चुनने
हम इसी जिस्म के अंदर ही बिखरना चाहें

  - Swapnil Tiwari

Diversity Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Swapnil Tiwari

As you were reading Shayari by Swapnil Tiwari

Similar Writers

our suggestion based on Swapnil Tiwari

Similar Moods

As you were reading Diversity Shayari Shayari