dard tha hashr bhi hazaar uthe | दर्द था हश्र भी हज़ार उठे

  - Taj Bhopali

dard tha hashr bhi hazaar uthe
sach na bolein to rasm-e-daar uthe

ai gham-e-ishq tujh se haar gaye
jaan de kar bhi sharmasaar uthe

jaane kis dard ke taalluq se
raat dushman ko ham pukaar uthe

ab to us zulf ki ghatta chha jaaye
dil se kab tak yoonhi ghubaar uthe

दर्द था हश्र भी हज़ार उठे
सच न बोलें तो रस्म-ए-दार उठे

ऐ ग़म-ए-इश्क़ तुझ से हार गए
जान दे कर भी शर्मसार उठे

जाने किस दर्द के तअल्लुक़ से
रात दुश्मन को हम पुकार उठे

अब तो उस ज़ुल्फ़ की घटा छा जाए
दिल से कब तक यूँही ग़ुबार उठे

  - Taj Bhopali

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Taj Bhopali

As you were reading Shayari by Taj Bhopali

Similar Writers

our suggestion based on Taj Bhopali

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari