shua-e-mehr ki shabnam se ban nahin sakti
gham-e-jahaan ki tire gham se ban nahin sakti
ye faisla hai hamaara tire liye sayyaad
chaman mein rah ke tiri ham se ban nahin sakti
hayaat-e-jehad-o-amal se hai warna maut achhi
hayaat-e-giryaa-e-maatam se ban nahin sakti
hazaar kuchh ho magar zaahidon ki jannat mein
ye tajruba hai ki aadam se ban nahin sakti
शुआ-ए-मेहर की शबनम से बन नहीं सकती
ग़म-ए-जहाँ की तिरे ग़म से बन नहीं सकती
ये फ़ैसला है हमारा तिरे लिए सय्याद
चमन में रह के तिरी हम से बन नहीं सकती
हयात-ए-जहद-ओ-अमल से है वर्ना मौत अच्छी
हयात-ए-गिर्या-ए-मातम से बन नहीं सकती
हज़ार कुछ हो मगर ज़ाहिदों की जन्नत में
ये तज्रबा है कि आदम से बन नहीं सकती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taj Bhopali
our suggestion based on Taj Bhopali
As you were reading Udas Shayari Shayari