saawan-rut aur udti purva tere naam
dhoop-nagar se hai ye tohfa tere naam
surkh gulaab ke saare mausam tere liye
khwaabon ka har ek dareecha tere naam
chaand ki aankhen phool ki khushboo bahti raat
qurbat ka har ek wasila tere naam
barf mein faila shaam dhundlaka tere liye
har ik subh ka pehla ujaala tere naam
hansati hui si teri aankhen mere liye
bahti jheel mein phool kanwal ka tere naam
teri yaad ka bahta dariya mere liye
chaahat ka ye tanhaa jazeera tere naam
duniya-bhar mein jitne manzar achhe hain
un ka husn aur shor hawa ka tere naam
सावन-रुत और उड़ती पुर्वा तेरे नाम
धूप-नगर से है ये तोहफ़ा तेरे नाम
सुर्ख़ गुलाब के सारे मौसम तेरे लिए
ख़्वाबों का हर एक दरीचा तेरे नाम
चाँद की आँखें फूल की ख़ुश्बू बहती रात
क़ुर्बत का हर एक वसीला तेरे नाम
बर्फ़ में फैला शाम धुँदलका तेरे लिए
हर इक सुब्ह का पहला उजाला तेरे नाम
हँसती हुई सी तेरी आँखें मेरे लिए
बहती झील में फूल कँवल का तेरे नाम
तेरी याद का बहता दरिया मेरे लिए
चाहत का ये तन्हा जज़ीरा तेरे नाम
दुनिया-भर में जितने मंज़र अच्छे हैं
उन का हुस्न और शोर हवा का तेरे नाम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tajdar Adil
our suggestion based on Tajdar Adil
As you were reading Dariya Shayari Shayari