kyun tere dar se hi chup chaap guzar aate hain
jo khudaaon ki tarah ban ke sharar aate hain
vo mera ho ke bhi ho saka nahin hairat hai
phir bhi har haal mein ham saath nazar aate hain
waqt hai dost ise dhyaan mein rakh kaam mein la
khwaab veeraan jazeero pe utar aate hain
uske wahdat ne mujhe apni taraf kheecha tha
varna raaste mein to kitne hi shajar aate hain
har koi chaand sa chehra nahin hota saccha
aabshaaron ki tahon mein bhi khandar aate hain
main ki hairaan hoon is rabt pe ham dono ke
le ke har baar adoo teri khabar aate hain
क्यों तेरे दर से ही चुप चाप गुज़र आते हैं
जो ख़ुदाओं की तरह बन के शरर आते हैं
वो मेरा हो के भी हो सकता नहीं हैरत है
फिर भी हर हाल में हम साथ नज़र आते हैं
वक़्त है दोस्त इसे ध्यान में रख काम में ला
ख़्वाब वीरान जज़ीरों पे उतर आते हैं
उसके वहदत ने मुझे अपनी तरफ़ खींचा था
वरना रस्ते में तो कितने ही शजर आते हैं
हर कोई चाँद सा चेहरा नहीं होता सच्चा
आबशारों की तहों में भी खंडर आते हैं
मैं कि हैरान हूँ इस रब्त पे हम दोनों के
ले के हर बार अदू तेरी ख़बर आते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tajdeed Qaiser
our suggestion based on Tajdeed Qaiser
As you were reading Nigaah Shayari Shayari