koii gaali nahin deta koii gussa nahin hota
to main mashhoor to hota magar itna nahin hota
ham usko ghar nahin kahte bhale kitna bada hi ho
jahaan tulsi nahin hoti jahaan matka nahin hota
bula lo sab bade shaair magar ik do naye rakhna
shagun poora nahin hota agar sikka nahin hota
zamaana hai naya ab vo muhabbat kar nahin saktaa
vo jisse ek bhi rupya kabhi kharcha nahin hota
tanoj is baar to laao nayaapan sher mein apne
ki bas ik naam likhne se koii maqta nahin hota
कोई गाली नहीं देता कोई ग़ुस्सा नहीं होता
तो मैं मशहूर तो होता मगर इतना नहीं होता
हम उसको घर नहीं कहते भले कितना बड़ा ही हो
जहाँ तुलसी नहीं होती जहाँ मटका नहीं होता
बुला लो सब बड़े शाइर मगर इक दो नए रखना
शगुन पूरा नहीं होता अगर सिक्का नहीं होता
ज़माना है नया अब वो मुहब्बत कर नहीं सकता
वो जिससे एक भी रुपया कभी ख़र्चा नहीं होता
तनोज इस बार तो लाओ नयापन शेर में अपने
कि बस इक नाम लिखने से कोई मक़्ता नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tanoj Dadhich
our suggestion based on Tanoj Dadhich
As you were reading Gussa Shayari Shayari