tadpata hi nahin itna agar shaair nahin hota
tadapna kya main khush rehta agar shaair nahin hota
kabhi sunta nahin isko zamaana gaur se yaaron
ahem kirdaar kisse ka agar shaair nahin hota
mujhe sabki mohabbat ne banaya ek autograph
main signature hi rah jaata agar shaair nahin hota
khuda ki rahmaton se main meri ghazlon ka maalik hoon
kahi naukar bana hota agar shaair nahin hota
mujhe bhi gher leti phir kisi din mazhabi baatein
siyaasat mein chala jaata agar shaair nahin hota
nava ghaafil charaagh aashoo varun aanand aur taabish
tanoj insey nahin milta agar shaair nahin hota
तड़पता ही नहीं इतना अगर शाइर नहीं होता
तड़पना क्या? मैं ख़ुश रहता अगर शाइर नहीं होता
कभी सुनता नहीं इसको ज़माना ग़ौर से यारों
अहम किरदार क़िस्से का अगर शाइर नहीं होता
मुझे सबकी मोहब्बत ने बनाया एक ऑटोग्राफ़
मैं सिग्नेचर ही रह जाता अगर शाइर नहीं होता
ख़ुदा की रहमतों से मैं मेरी ग़ज़लों का मालिक हूँ
कहीं नौकर बना होता अगर शाइर नहीं होता
मुझे भी घेर लेती फिर किसी दिन मज़हबी बातें
सियासत में चला जाता अगर शाइर नहीं होता
'नवा', 'ग़ाफ़िल', 'चराग़', 'आशू', 'वरुन आनन्द' और 'ताबिश'
'तनोज' इनसे नहीं मिलता अगर शाइर नहीं होता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tanoj Dadhich
our suggestion based on Tanoj Dadhich
As you were reading Love Shayari Shayari