kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kat rahi hai | किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में कट रही है - Tehzeeb Hafi

kise khabar hai ki umr bas us pe ghaur karne mein kat rahi hai
ki ye udaasi hamaare jismoon se kis khushi mein lipt rahi hai

ajeeb dukh hai hum us ke hokar bhi us ko choone se dar rahe hain
ajeeb dukh hai hamaare hisse ki aag auron mein bat rahi hai

main us ko har roz bas yahi ek jhooth sunne ko phone karta
suno yahan koi mas’ala hai tumhaari awaaz kat rahi hai

mujh aise pedon ke sookhne aur sabz hone se kya kisi ko
ye bel shaayad kisi museebat mein hai jo mujh se lipt rahi hai

ye waqt aane pe apni aulaad apne azdaad bech degi
jo fauj dushman ko apna saalar girvi rakh kar palat rahi hai

so is ta'alluq mein jo galat-fahmiyaan theen ab door ho rahi hain
ruki hui gaadiyon ke chalne ka waqt hai dhundh chhat rahi hai

किसे ख़बर है कि उम्र बस उस पे ग़ौर करने में कट रही है
कि ये उदासी हमारे जिस्मों से किस ख़ुशी में लिपट रही है

अजीब दुख है हम उस के होकर भी उस को छूने से डर रहे हैं
अजीब दुख है हमारे हिस्से की आग औरों में बट रही है

मैं उस को हर रोज़ बस यही एक झूठ सुनने को फ़ोन करता
सुनो यहाँ कोई मस’अला है तुम्हारी आवाज़ कट रही है

मुझ ऐसे पेड़ों के सूखने और सब्ज़ होने से क्या किसी को
ये बेल शायद किसी मुसीबत में है जो मुझ से लिपट रही है

ये वक़्त आने पे अपनी औलाद अपने अज़्दाद बेच देगी
जो फ़ौज दुश्मन को अपना सालार गिरवी रख कर पलट रही है

सो इस तअ'ल्लुक़ में जो ग़लत-फ़हमियाँ थीं अब दूर हो रही हैं
रुकी हुई गाड़ियों के चलने का वक़्त है धुँध छट रही है

- Tehzeeb Hafi
76 Likes

Shaheed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tehzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tehzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Shaheed Shayari Shayari