tareekiyo ko aag lage aur diya jale
ye raat bein karti rahe aur diya jale
us ki zabaan mein itna asar hai ki nisf shab
vo raushni ki baat kare aur diya jale
tum chahte ho tum se bichhad ke bhi khush rahoon
ya'ni hawa bhi chalti rahe aur diya jale
kya mujh se bhi aziz hai tum ko diye ki lau
phir to mera mazaar bane aur diya jale
suraj to meri aankh se aage ki cheez hai
main chahta hoon shaam dhale aur diya jale
tum lautne mein der na karna ki ye na ho
dil teergi mein gher chuke aur diya jale
तारीकियों को आग लगे और दिया जले
ये रात बैन करती रहे और दिया जले
उस की ज़बाँ में इतना असर है कि निस्फ़ शब
वो रौशनी की बात करे और दिया जले
तुम चाहते हो तुम से बिछड़ के भी ख़ुश रहूँ
या'नी हवा भी चलती रहे और दिया जले
क्या मुझ से भी अज़ीज़ है तुम को दिए की लौ
फिर तो मेरा मज़ार बने और दिया जले
सूरज तो मेरी आँख से आगे की चीज़ है
मैं चाहता हूँ शाम ढले और दिया जले
तुम लौटने में देर न करना कि ये न हो
दिल तीरगी में घेर चुके और दिया जले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi
our suggestion based on Tehzeeb Hafi
As you were reading Raat Shayari Shayari