gham mujhe apna bhula kar dekhna hai
zindagi ko muskuraa kar dekhna hai
rah liya tanhaa bahut main ab kisi ke
dil mein apna ghar bana kar dekhna hai
vo puraana saal tha ye to naya hai
ab to thodi si wafa kar dekhna hai
sab raqeebon se mujhe milva kisi din
mujhko apna dil jala kar dekhna hai
vasl to mumkin nahin yaaro mujhe ab
hijr mein khud ko mita kar dekhna hai
yaad aana chhod do gar tum mujhe to
phir kisi se dil laga kar dekhna hai
ग़म मुझे अपना भुला कर देखना है
ज़िंदगी को मुस्कुरा कर देखना है
रह लिया तन्हा बहुत मैं अब किसी के
दिल में अपना घर बना कर देखना है
वो पुराना साल था ये तो नया है
अब तो थोड़ी सी वफ़ा कर देखना है
सब रक़ीबों से मुझे मिलवा किसी दिन
मुझको अपना दिल जला कर देखना है
वस्ल तो मुमकिन नहीं यारो मुझे अब
हिज्र में ख़ुद को मिटा कर देखना है
याद आना छोड़ दो गर तुम मुझे तो
फिर किसी से दिल लगा कर देखना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by ABhishek Parashar
our suggestion based on ABhishek Parashar
As you were reading Ghar Shayari Shayari