mere chehre se main khush dik raha hoon
magar andar se main bhi mar chuka hoon
teri tasveer batue mein rakhi hai
usi se main guzaara kar raha hoon
mujhe vo khwaab mein ik din mila tha
haqeeqat mein jise main dhoondhta hoon
meri to koi maashooqa nahin hai
bhala main raat bhar kyun jaagta hoon
zara ab aazma luun doston ko
mohabbat mein to dhoke kha chuka hoon
akela chhod dete hain mujhe sab
yaqeen kar dost main itna bura hoon
meri ye shayari kahti hai mujhse
main hi marham main hi teri dava hoon
kisi se ishq kar baitha tha main so
usi ke ishq mein paagal hua hoon
tumhein kuchh bhi nahin maaloom abhishek
main kitni baar aur kitna luta hoon
मेरे चेहरे से मैं ख़ुश दिख रहा हूँ
मगर अंदर से मैं भी मर चुका हूँ
तेरी तस्वीर बटुए में रखी है
उसी से मैं गुज़ारा कर रहा हूँ
मुझे वो ख़्वाब में इक दिन मिला था
हक़ीक़त में जिसे मैं ढूँढता हूँ
मेरी तो कोई माशूक़ा नहीं है
भला मैं रात भर क्यों जागता हूँ
ज़रा अब आज़मा लूँ दोस्तों को
मोहब्बत में तो धोखे खा चुका हूँ
अकेला छोड़ देते हैं मुझे सब
यक़ीं कर दोस्त मैं इतना बुरा हूँ
मेरी ये शायरी कहती है मुझसे
मैं ही मरहम मैं ही तेरी दवा हूँ
किसी से इश्क़ कर बैठा था मैं सो
उसी के इश्क़ में पागल हुआ हूँ
तुम्हें कुछ भी नहीं मालूम अभिषेक
मैं कितनी बार और कितना लुटा हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by ABhishek Parashar
our suggestion based on ABhishek Parashar
As you were reading Neend Shayari Shayari