hai aaina jo tira dil to mera patthar hai
ye mil gaye to tira tootna muqaddar hai
sambhal sambhal ke qadam is mein aap rakhiyega
zameen hai ishq kabhi to kabhi samandar hai
tumhaara haath mere haath mein to hai lekin
hai ek fasla jo ab bhi apne andar hai
gaye jo tum to guzarte nahin hain ab mausam
abhi bhi ghar mein mere bees ka sitambar hai
vo khwaab dekh nahin paate jo ye kahte hain
ki pair utne hi failao jitni chadar hai
vo shakhs dekhna satta mein aa hi jaayega
zameen ke neeche hai utna vo jitna oopar hai
sadak kinaare calendar nahin hai uske paas
use to sardi bataati hai ye december hai
hai aasmaan bhi bahut khoob haan magar jab tak
zameen pe maa hai zameen aasmaan se behtar hai
है आइना जो तिरा दिल तो मेरा पत्थर है
ये मिल गए तो तिरा टूटना मुक़द्दर है
सँभल सँभल के क़दम इस में आप रखिएगा
ज़मीं है इश्क़ कभी तो कभी समंदर है
तुम्हारा हाथ मिरे हाथ में तो है लेकिन
है एक फ़ासला जो अब भी अपने अंदर है
गए जो तुम तो गुज़रते नहीं हैं अब मौसम
अभी भी घर में मिरे बीस का सितंबर है
वो ख़्वाब देख नहीं पाते जो ये कहते हैं
कि पैर उतने ही फैलाओ जितनी चादर है
वो शख़्स देखना सत्ता में आ ही जाएगा
ज़मीं के नीचे है उतना वो जितना ऊपर है
सड़क किनारे कैलेंडर नहीं है उसके पास
उसे तो सर्दी बताती है ये दिसंबर है
है आसमाँ भी बहुत ख़ूब हाँ मगर जब तक
ज़मीं पे माँ है ज़मीं आसमाँ से बेहतर है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haider Khan
our suggestion based on Haider Khan
As you were reading Falak Shayari Shayari