kaise khud hi kahoon ki kya hoon main
tum kaho tum ko kya laga hoon main
ab ke jab hosh aa gaya mujhko
unke kooche se ja raha hoon main
neend mein khwaab dekhte hain sab
khwaab mein neend dekhta hoon main
koh ka hissa-e-but-e-yazdaan
cheekhta rehta hai khuda hoon main
tum to mere liye khade hote
tum ko maaloom tha na kya hoon main
shams dair-o-haram kii basti mein
ek hi may-kada bacha hoon main
कैसे ख़ुद ही कहूँ कि क्या हूँ मैं
तुम कहो तुम को क्या लगा हूँ मैं
अब के जब होश आ गया मुझको
उनके कूचे से जा रहा हूँ मैं
नींद में ख़्वाब देखते हैं सब
ख़्वाब में नींद देखता हूँ मैंं
कोह का हिस्सा-ए-बुत-ए-यज़्दाँ
चीखता रहता है ख़ुदा हूँ मैं
तुम तो मेरे लिए खड़े होते
तुम को मालूम था न क्या हूँ मैं
'शम्स' दैर-ओ-हरम की बस्ती में
एक ही मय-कदा बचा हूँ मैं
As you were reading Shayari by ADITYA TIWARI
our suggestion based on ADITYA TIWARI
As you were reading undefined Shayari