waqt ke dukh mein meri aankhon se chalke aansu
ho gaye ashk mere aise ajal ke aansu
itna gham tha ki meri or se roya ambar
ho gaye abr tire hijr mein jal ke aansu
vo koii laal siyaahi nahin hai khat mein sanam
abki aankhon se gire rang badal ke aansu
har ghadi safhe ke aariz pe nami rahti hai
yoon tiri yaad mein girte hain ghazal ke aansu
dil ne phir maara tamaacha meri majboori ko
phir tira zikr chala aankh se chalke aansu
phir khayal aaya hai tumse hai bichadna ik din
phir chale aaye hain aankhon mein tahal ke aansu
ab kii baarish mein koii tujhse bhi tanhaa tha shams
roke rukte nahin the ab kii fasal ke aansu
वक़्त के दुख में मिरी आँखों से छलके आँसू
हो गए अश्क मिरे ऐसे अजल के आँसू
इतना ग़म था कि मिरी ओर से रोया अंबर
हो गए अब्र तिरे हिज्र में जल के आँसू
वो कोई लाल सियाही नहीं है ख़त में सनम
अबकी आँखों से गिरे रंग बदल के आँसू
हर घड़ी सफ़्हे के आरिज़ पे नमी रहती है
यू़ँ तिरी याद में गिरते हैं ग़ज़ल के आँसू
दिल ने फिर मारा तमाचा मिरी मजबूरी को
फिर तिरा ज़िक्र चला आँख से छलके आँसू
फिर ख़याल आया है तुमसे है बिछड़ना इक दिन
फिर चले आए हैं आँखों में टहल के आँसू
अब की बारिश में कोई तुझसे भी तन्हा था शम्स
रोके रुकते नहीं थे अब की फ़सल के आँसू
As you were reading Shayari by ADITYA TIWARI
our suggestion based on ADITYA TIWARI
As you were reading undefined Shayari