zakhm naasoor hua hai to shifaa aayi hai
baad dastaar uchhalne ke qaza aayi hai
ret tha jab main to ik boond pe paabandi thi
abr hoon ab to samandar kii raza aayi hai
sabse behtar to nibhaaya hai ghamon ne mujhse
zulm ho ya na magar phir bhi saza aayi hai
haan ye mumkin hai shua chook gai ho lekin
maine jab sham'a jalai hai hawa aayi hai
kisi darji ko barabar the kalander aur main
dono ke hisse mein do gaz hi qaba aayi hai
ik sabab ye hai use dil se lagaane ka shams
muflisi zeest mein ghazalon kii tarah aayi hai
ज़ख़्म नासूर हुआ है तो शिफ़ा आई है
बाद दस्तार उछलने के क़ज़ा आई है
रेत था जब मैं तो इक बूंद पे पाबंदी थी
अब्र हूँ अब तो समंदर की रज़ा आई है
सबसे बेहतर तो निभाया है ग़मों ने मुझसे
ज़ुल्म हो या न मगर फिर भी सज़ा आई है
हाँ ये मुमकिन है शुआ चूक गई हो लेकिन
मैंने जब शम्अ जलाई है हवा आई है
किसी दर्जी को बराबर थे कलंदर और मैं
दोनों के हिस्से में दो गज़ ही क़बा आई है
इक सबब ये है उसे दिल से लगाने का शम्स
मुफ़लिसी ज़ीस्त में ग़ज़लों की तरह आई है
As you were reading Shayari by ADITYA TIWARI
our suggestion based on ADITYA TIWARI
As you were reading undefined Shayari