tum is kharaabe mein chaar chhe din tahal gai ho
so ain-mumkin hai dil ki haalat badal gai ho
tamaam din is dua mein katata hai kuchh dinon se
main jaaun kamre mein to udaasi nikal gai ho
kisi ke aane pe aise halchal hui hai mujh mein
khamosh jungle mein jaise bandooq chal gai ho
ye na ho gar main hiloon to girne lage burada
dukhon ki deemak badan ki lakdi nigal gai ho
ye chhote chhote kai hawadis jo ho rahe hain
kisi ke sar se badi museebat na tal gai ho
hamaara malba hamaare qadmon mein aa gira hai
plate mein jaise mom-batti pighal gai ho
तुम इस ख़राबे में चार छे दिन टहल गई हो
सो ऐन-मुमकिन है दिल की हालत बदल गई हो
तमाम दिन इस दुआ में कटता है कुछ दिनों से
मैं जाऊँ कमरे में तो उदासी निकल गई हो
किसी के आने पे ऐसे हलचल हुई है मुझ में
ख़मोश जंगल में जैसे बंदूक़ चल गई हो
ये न हो गर मैं हिलूँ तो गिरने लगे बुरादा
दुखों की दीमक बदन की लकड़ी निगल गई हो
ये छोटे छोटे कई हवादिस जो हो रहे हैं
किसी के सर से बड़ी मुसीबत न टल गई हो
हमारा मलबा हमारे क़दमों में आ गिरा है
प्लेट में जैसे मोम-बत्ती पिघल गई हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umair Najmi
our suggestion based on Umair Najmi
As you were reading Kamar Shayari Shayari