khanjar-e-shab jo utar jaayenge aankhon mein meri
manzar-e-raftaa thehar jaayenge aankhon mein meri
zulm sahne ke liye rakhta hoon patthar ka jigar
ashk-e-gham yoonhi na bhar jaayenge aankhon mein meri
hoga baazu se numayaan meri jurat ka kamaal
haadse jab bhi thehar jaayenge aankhon mein meri
jab bhi aayega mujhe ahad-e-guzishta ka khayal
kitne toofaan se bifar jaayenge aankhon mein meri
kis tarah khud mein utaarenge sehar ka nashsha
zakham-e-shab neenden jo dhar jaayenge aankhon mein meri
ख़ंजर-ए-शब जो उतर जाएँगे आँखों में मिरी
मंज़र-ए-रफ़्ता ठहर जाएँगे आँखों में मिरी
ज़ुल्म सहने के लिए रखता हूँ पत्थर का जिगर
अश्क-ए-ग़म यूँही न भर जाएँगे आँखों में मिरी
होगा बाज़ू से नुमायाँ मिरी जुरअत का कमाल
हादसे जब भी ठहर जाएँगे आँखों में मिरी
जब भी आएगा मुझे अहद-ए-गुज़िश्ता का ख़याल
कितने तूफ़ाँ से बिफर जाएँगे आँखों में मिरी
किस तरह ख़ुद में उतारेंगे सहर का नश्शा
ज़ख़्म-ए-शब नींदें जो धर जाएँगे आँखों में मिरी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Unknown
our suggestion based on Unknown
As you were reading Inquilab Shayari Shayari