sochna bhi ajeeb aadat hai
ye bhi to sochne ki soorat hai
main kisi doosre ka sauda hoon
aap ke paas meri qeemat hai
pehle hansne pe bhi na raazi the
ab udaasi se bhi shikaayat hai
ab mujhe aap chhod jaaiyega
ab mujhe aapki zaroorat hai
aapka haath maangtaa hoon main
aap ke haath meri kismat hai
meri cigarette pe etiraaz tumhe
kya mujhe choomne ki hasrat hai
maut to pehla maratba hai fikr
zindagi doosri sahoolat hai
सोचना भी अजीब आदत है
ये भी तो सोचने की सूरत है
मैं किसी दूसरे का सौदा हूं
आप के पास मेरी क़ीमत है
पहले हंसने पे भी न राज़ी थे
अब उदासी से भी शिकायत है
अब मुझे आप छोड़ जाइएगा
अब मुझे आपकी ज़रूरत है
आपका हाथ मांगता हूं मैं
आप के हाथ मेरी किस्मत है
मेरी सिगरेट पे ऐतराज़ तुम्हे
क्या मुझे चूमने की हसरत है
मौत तो पहला मरतबा है फ़िक्र
ज़िन्दगी दूसरी सहूलत है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikas Rana
our suggestion based on Vikas Rana
As you were reading Greed Shayari Shayari