umr-bhar us ki nishaani dekhiye
ishq kar yun jaavedaani dekhiye
yaad kijeye vo pari-chehra sada
aur har soo raat-raani dekhiye
hijr ke mausam mein bhi gulzaar hoon
ye gazab ki baaghbaani dekhiye
dhadkanein tasbeeh us ke naam ki
dil pe us ki hukmraani dekhiye
dard mehmaan hai magar jaata nahin
aap meri mezbaani dekhiye
aap hain jo ishq ke ahl-e-zabaan
meri bhi kar tarjumaani dekhiye
bebaasi bechainiyaan betaabiyaan
aashnaa ke sab maani dekhe
उम्र-भर उस की निशानी देखिए
इश्क़ कर यूँ जावेदानी देखिए
याद कीजे वो परी-चेहरा सदा
और हर सू रात-रानी देखिए
हिज्र के मौसम में भी गुलज़ार हूँ
ये ग़ज़ब की बाग़बानी देखिए
धड़कनें तस्बीह उस के नाम की
दिल पे उस की हुक्मरानी देखिए
दर्द मेहमाँ है मगर जाता नहीं
आप मेरी मेज़बानी देखिए
आप हैं जो इश्क़ के अहल-ए-ज़बाँ
मेरी भी कर तर्जुमानी देखिए
बेबसी बेचैनियाँ बेताबियाँ
'आशना' के सब मआ'नी देखे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vineet Aashna
our suggestion based on Vineet Aashna
As you were reading Hijrat Shayari Shayari