nahin aasaan itna bhi ki ab manzil ko pa len ham | नहीं आसान इतना भी कि अब मंज़िल को पा लें हम

  - Wajid Akhtar

nahin aasaan itna bhi ki ab manzil ko pa len ham
yahi behtar hai khud ko is safar se bhi bacha len ham

nikal kar ghar se socha tha sajaayenge naye sapne
yahan to waqt bhi itna nahin hai kuchh bhi kha len ham

hamaare haal ke baare mein jo maa poochhti hai ab
hame to jhooth bhi aata nahin sach ko chhupa len ham

suna hai mard ka paisa use izzat dilaata hai
yahi socha ki apne hisse kii izzat kama len ham

hamaare haath chhaalon ke siva kuchh bhi nahin aaya
yahi behtar hai apne saare khwaabon ko jala len ham

नहीं आसान इतना भी कि अब मंज़िल को पा लें हम
यही बेहतर है ख़ुद को इस सफ़र से भी बचा लें हम

निकल कर घर से सोचा था सजाएँगे नए सपने
यहाँ तो वक़्त भी इतना नहीं है कुछ भी खा लें हम

हमारे हाल के बारे में जो माँ पूछती है अब
हमे तो झूठ भी आता नहीं सच को छिपा लें हम

सुना है मर्द का पैसा उसे इज़्ज़त दिलाता है
यही सोचा कि अपने हिस्से की इज़्ज़त कमा लें हम

हमारे हाथ छालों के सिवा कुछ भी नहीं आया
यही बेहतर है अपने सारे ख़्वाबों को जला लें हम

  - Wajid Akhtar

More by Wajid Akhtar

As you were reading Shayari by Wajid Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Wajid Akhtar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari