darwaaze par hoon khada aakar main ghamkhaane ke | दरवाज़े पर हूॅं खड़ा आकर मैं ग़मख़ाने के

  - Wajid Akhtar

darwaaze par hoon khada aakar main ghamkhaane ke
kya haath mein aaya hai kab kuchh bhi deewane ke

vo raaste bhi sabhi thukra chuke hain mujhe
jo muntazir the kabhi mere palat aane ke

naapaak cheezein se to bas faasle hi rakhe
par aate hain vasvase mujhko bhi maykhaane ke

दरवाज़े पर हूॅं खड़ा आकर मैं ग़मख़ाने के
क्या हाथ में आया है कब कुछ भी दीवाने के

वो रास्ते भी सभी ठुकरा चुके हैं मुझे
जो मुंतज़िर थे कभी मेरे पलट आने के

नापाक चीज़ों से तो बस फ़ासले ही रखे
पर आते हैं वसवसे मुझको भी मयख़ाने के

  - Wajid Akhtar

More by Wajid Akhtar

As you were reading Shayari by Wajid Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Wajid Akhtar

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari