mujhko gham ye hai tere jaane se
main qasir hoon aur kuchh bhi paane se
tu to waqif hai meri haalat se
hat kyoon jaata hai mere shaane se
tere dil ka mai koii qaaidi hoon
kaise nikaloon main is tahkhana se
itna to batlaata ja kya tha vo
gar darta hai aur kuchh batlaane se
mere zakhm-e-dil itne hain wajid
mar jaaunga ik aur badh jaane se
मुझको ग़म ये है तेरे जाने से
मैं क़ासिर हूॅं और कुछ भी पाने से
तू तो वाक़िफ़ है मेरी हालत से
हट क्यूॅं जाता है मेरे शाने से
तेरे दिल का मै कोई क़ैदी हूॅं
कैसे निकलूॅं मैं इस तहख़ाने से
इतना तो बतलाता जा क्या था वो
गर डरता है और कुछ बतलाने से
मेरे ज़ख़्म-ए-दिल इतने हैं वाजिद
मर जाऊँगा इक और बढ़ जाने से
As you were reading Shayari by Wajid Akhtar
our suggestion based on Wajid Akhtar
As you were reading undefined Shayari