aate aate mera naam sa rah gaya
us ke honton pe kuchh kaanpata rah gaya
raat mujrim thi daaman bacha le gai
din gawaahon. ki saf mein khada rah gaya
vo mere saamne hi gaya aur main
raaste ki tarah dekhta rah gaya
jhooth waale kahi se kahi badh gaye
aur main tha ki sach bolta rah gaya
aandhiyon ke iraade to achhe na the
ye diya kaise jalta hua rah gaya
us ko kaandhon pe le ja rahe hain waseem
aur vo jeene ka haq maangata rah gaya
आते आते मिरा नाम सा रह गया
उस के होंटों पे कुछ काँपता रह गया
रात मुजरिम थी दामन बचा ले गई
दिन गवाहों की सफ़ में खड़ा रह गया
वो मिरे सामने ही गया और मैं
रास्ते की तरह देखता रह गया
झूट वाले कहीं से कहीं बढ़ गए
और मैं था कि सच बोलता रह गया
आँधियों के इरादे तो अच्छे न थे
ये दिया कैसे जलता हुआ रह गया
उस को काँधों पे ले जा रहे हैं 'वसीम'
और वो जीने का हक़ माँगता रह गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Charagh Shayari Shayari