lahu na ho to qalam tarjumaan nahin hota | लहू न हो तो क़लम तर्जुमाँ नहीं होता - Waseem Barelvi

lahu na ho to qalam tarjumaan nahin hota
hamaare daur mein aansu zabaan nahin hota

jahaan rahega wahin raushni lutaayega
kisi charaagh ka apna makaan nahin hota

ye kis maqaam pe laai hai meri tanhaai
ki mujh se aaj koi bad-gumaan nahin hota

bas ik nigaah meri raah dekhti hoti
ye saara shehar mera mezbaan nahin hota

tira khayal na hota to kaun samjhaata
zameen na ho to koi aasmaan nahin hota

main us ko bhool gaya hoon ye kaun maanega
kisi charaagh ke bas mein dhuaan nahin hota

waseem sadiyon ki aankhon se dekhiye mujh ko
vo lafz hoon jo kabhi dastaan nahin hota

लहू न हो तो क़लम तर्जुमाँ नहीं होता
हमारे दौर में आँसू ज़बाँ नहीं होता

जहाँ रहेगा वहीं रौशनी लुटाएगा
किसी चराग़ का अपना मकाँ नहीं होता

ये किस मक़ाम पे लाई है मेरी तन्हाई
कि मुझ से आज कोई बद-गुमाँ नहीं होता

बस इक निगाह मिरी राह देखती होती
ये सारा शहर मिरा मेज़बाँ नहीं होता

तिरा ख़याल न होता तो कौन समझाता
ज़मीं न हो तो कोई आसमाँ नहीं होता

मैं उस को भूल गया हूँ ये कौन मानेगा
किसी चराग़ के बस में धुआँ नहीं होता

'वसीम' सदियों की आँखों से देखिए मुझ को
वो लफ़्ज़ हूँ जो कभी दास्ताँ नहीं होता

- Waseem Barelvi
2 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waseem Barelvi

As you were reading Shayari by Waseem Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Waseem Barelvi

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari