meri wafaon ka nashsha utaarne waala | मिरी वफ़ाओं का नश्शा उतारने वाला

  - Waseem Barelvi

meri wafaon ka nashsha utaarne waala
kahaan gaya mujhe hans hans ke haarne waala

hamaari jaan gai jaaye dekhna ye hai
kahi nazar mein na aa jaaye maarnay waala

bas ek pyaar ki baazi hai be-gharz baazi
na koi jeetne waala na koi haarne waala

bhare makaan ka bhi apna nasha hai kya jaane
sharaab-khaane mein raatein guzaarne waala

main us ka din bhi zamaane mein baant kar rakh doon
vo meri raaton ko chhup kar guzaarne waala

waseem ham bhi bikharna ka hausla karte
hamein bhi hota jo koi sanwaarne waala

मिरी वफ़ाओं का नश्शा उतारने वाला
कहाँ गया मुझे हँस हँस के हारने वाला

हमारी जान गई जाए देखना ये है
कहीं नज़र में न आ जाए मारने वाला

बस एक प्यार की बाज़ी है बे-ग़रज़ बाज़ी
न कोई जीतने वाला न कोई हारने वाला

भरे मकाँ का भी अपना नशा है क्या जाने
शराब-ख़ाने में रातें गुज़ारने वाला

मैं उस का दिन भी ज़माने में बाँट कर रख दूँ
वो मेरी रातों को छुप कर गुज़ारने वाला

'वसीम' हम भी बिखरने का हौसला करते
हमें भी होता जो कोई सँवारने वाला

  - Waseem Barelvi

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waseem Barelvi

As you were reading Shayari by Waseem Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Waseem Barelvi

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari